Sun Lo Mere Bhaaiyon
Hindi Christian Song — English Lyrics
Sun Lo Mere Bhaaiyon (Behno)
Masihaa Meraa Duniyaa Mein Aayaa (2)
Duniyaa Mein Aayaa – Mukthi Ko Laayaa (2)
Paapi Ko Aake Bachaayaa
Bachaane Yeshu… Duniyaa Mein Aayaa (2)
Andho Ko Aankhe Goon-Gon Ko Boli (2)
Beharon Ko Shabd Sunaayaa
Sunaane Eeshu… Duniyaa Mein Aayaa (2) ||Sun Lo||
Jab Hum Gunaah Mein Pade Hue The (2)
Adbhuth Prem Dikhaayaa
Dikhaane Yeshu… Duniyaa Mein Aaya (2) ||Sun Lo||
Duniyaa Ki Khaathir Kroos Par Chadh Ke (2)
Apnaa Hee Rakth Bahaayaa
Bahaane Yeshu… Duniyaa Mein Aayaa (2) ||Sun Lo||
Jo Koi Us Par Vishwaas Laayaa (2)
Usko Masih Ne Bachaayaa
Bachaane Yeshu… Duniyaa Mein Aayaa (2) ||Sun Lo||
Swargeey Pithaa Ka Ikalothaa Betaa (2)
Manushy Ka Puthr Kehlaayaa,
Kehlaane Yeshu… Duniyaa Mein Aayaa (2) ||Sun Lo||
Audio / Video